اردو हिंदी
Wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye | Shaahi Shayari
wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye

Ghazal

Wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye

Ehsan Danish

;

wafa ka ahd tha dil ko sambhaalne ke liye
wo hans paDe mujhe mushkil mein Dalne ke liye

bandha hua hai bahaaron ka ab wahin tanta
jahan ruka tha main kanTe nikalne ke liye

koi nasim ka naghma koi shamim ka rag
faza ko amn ke qalib mein Dhaalne ke liye

KHuda na karda zamin panw se agar khiski
baDhenge tund bagule sambhaalne ke liye

utar paDe hain kidhar se ye aandhiyon ke julus
samundaron se jazire nikalne ke liye

tere saliqa-e-tartib-e-nau ka kya kahna
hamin the qarya-e-dil se nikalne ke liye

kabhi hamari zarurat paDegi duniya ko
dilon ki barf ko shoalon mein Dhaalne ke liye

ye shoabde hi sahi kuchh fusun-garon ko bulao
nai faza mein sitare uchhaalne ke liye

hai sirf hum ko tere KHal-o-KHad ka andaza
ye aaine tu hain hairat mein Dalne ke liye

na jaane kitni masafat se aaega suraj
nigar-e-shab ka janaza nikalne ke liye

main pesh-rau hun isi KHak se ugenge charagh
nigah-o-dil ke ufuq ko ujalne ke liye

fasil-e-shab se koi hath baDhne wala hai
faza ki jeb se suraj nikalne ke liye

kunen mein phenk ke pachhta raha hun ai 'danish'
kamand thi jo minaron par Dalne ke liye