اردو हिंदी
Use dil se bhala dena zaruri ho gaya hai | Shaahi Shayari
use dil se bhala dena zaruri ho gaya hai

Ghazal

Use dil se bhala dena zaruri ho gaya hai

Jaleel u0027Aaliu0027

;

use dil se bhala dena zaruri ho gaya hai
ye jhagDa hi miTa dena zaruri ho gaya hai

lahu barfab kar degi thakan yaksaniyat ki
so kuchh fitne jaga dena zaruri ho gaya hai

gira de ghar ki diwaren na shorida-sari mein
hawa ko rasta dena zaruri ho gaya hai

bahut shab ke hawa-KHwahon ko ab khulne lage hain
diyon ki lau ghaTa dena zaruri ho gaya hai

bharam jae ki jae rah par aae na aae
use sab kuchh bata dena zaruri ho gaya hai

main kahta hun ki jaan hazir kiye deta hun lekin
wo kahte hain ana dena zaruri ho gaya hai

ye sar shanon pe ab ek bojh ki surat hai 'ali'
sar-e-maqtal sada dena zaruri ho gaya hai