use bechain kar jaunga main bhi
KHamoshi se guzar jaunga main bhi
mujhe chhune ki KHwahish kaun karta hai
ki pal bhar mein bikhar jaunga main bhi
bahut pachhtaega wo bichhaD kar
KHuda jaane kidhar jaunga main bhi
zara badlunga is be-manzari ko
phir us ke baad mar jaunga main bhi
kisi diwar ka KHamosh saya
pukare to Thahar jaunga main bhi
pata us ka tumhein bhi kuchh nahin hai
yahan se be-KHabar jaunga main bhi
Ghazal
Use bechain kar jaunga main bhi
Ameer Qazalbash