us ke dushman hain bahut aadmi achchha hoga
wo bhi meri hi tarah shahr mein tanha hoga
itna sach bol ki honTon ka tabassum na bujhe
raushni KHatm na kar aage andhera hoga
pyas jis nahr se Takrai wo banjar nikli
jis ko pichhe kahin chhoD aae wo dariya hoga
mere bare mein koi rae to hogi us ki
us ne mujh ko bhi kabhi toD ke dekha hoga
ek mahfil mein kai mahfilen hoti hain sharik
jis ko bhi pas se dekhoge akela hoga
Ghazal
Uske dushman hain bahut aadmi achchha hoga
Nida Fazli