tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi
hamari jaan thi jaan par wabaal waise hi
chala tha zikr zamane ki bewafai ka
so aa gaya hai tumhaara KHayal waise hi
hum aa gae hain tah-e-dam to nasib apna
wagarna us ne to phenka tha jal waise hi
main rokna hi nahin chahta tha war us ka
giri nahin mere hathon se Dhaal waise hi
zamana hum se bhala dushmani to kya rakhta
so kar gaya hai hamein paemal waise hi
mujhe bhi shauq na tha dastan sunane ka
'faraaz' us ne bhi puchha tha haal waise hi
Ghazal
Tujhe hai mashq-e-sitam ka malal waise hi
Ahmad Faraz