tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di
zaban-e-be-nigah rakh di nigah-e-be-zaban rakh di
miTi jati thi bulbul jalwa-e-gul-ha-e-rangin par
chhupa kar kis ne in pardon mein barq-e-ashiyan rakh di
niyaz-e-ishq ko samjha hai kya ai waiz-e-nadan
hazaron ban gae kabe jabin main ne jahan rakh di
qafas ki yaad mein ye iztirab-e-dil maaz-allah
ki main ne toD kar ek ek shaKH-e-ashiyan rakh di
karishme husn ke pinhan the shayad raqs-e-bismil mein
bahut kuchh soch kar zalim ne tegh-e-KHun-fishan rakh di
ilahi kya kiya tu ne ki aalam mein talatum hai
ghazab ki ek musht-e-KHak zer-e-asman rakh di
Ghazal
Tere jalwon ke aage himmat-e-sharh-o-bayan rakh di
Asghar Gondvi