teri baaten hi sunane aae
dost bhi dil hi dukhane aae
phul khilte hain to hum sochte hain
tere aane ke zamane aae
aisi kuchh chup si lagi hai jaise
hum tujhe haal sunane aae
ishq tanha hai sar-e-manzil-e-gham
kaun ye bojh uThane aae
ajnabi dost hamein dekh ki hum
kuchh tujhe yaad dilane aae
dil dhaDakta hai safar ke hangam
kash phir koi bulane aae
ab to rone se bhi dil dukhta hai
shayad ab hosh Thikane aae
kya kahin phir koi basti ujDi
log kyun jashn manane aae
so raho maut ke pahlu mein 'faraaz'
nind kis waqt na jaane aae
Ghazal
Teri baaten hi sunane aae
Ahmad Faraz