اردو हिंदी
Tek laga kar baiTha hun main jis buDhi diwar ke sath | Shaahi Shayari
Tek laga kar baiTha hun main jis buDhi diwar ke sath

Ghazal

Tek laga kar baiTha hun main jis buDhi diwar ke sath

Zulfiqar Naqvi

;

Tek laga kar baiTha hun main jis buDhi diwar ke sath
KHauf hai mujh ko miT na jaun us ke har aasar ke sath

ghaza powder mal kar main bhi aa jata hun surKHi mein
bik jata hai chehra mera saste se aKHbar ke sath

kyun na baDh kar main pi jaun tere naqli sab tiryak
phir tu dhoka kar na pae basti mein bimar ke sath

hosh ke naKHun le to sain kyun ye ghaugha Dala hai
dekh nahin ab lai ye chalti naghma-e-darbar ke sath

kis ne tujh ko saunpi bhai sardari is basti ki
sab ke sab mahshur ye honge apne apne yar ke sath

umr tamami shauq se hum ne ek hi titli pali thi
jab jab us ko KHwab mein dekha uDti hai aghyar ke sath