sune siyah shahr pe manzar-pazir main
aankhen qalil hoti hui aur kasir main
masjid ki siDhiyon pe gadagar KHuda ka nam
masjid ke baam-o-dar pe amir o kabir main
dar-asl is jahan ko zarurat nahin meri
har-chand is jahan ke liye na-guzir main
main bhi yahan hun is ki shahadat mein kis ko laun
mushkil ye hai ki aap hun apni nazir main
mujh tak hai mere dukh ke tasawwuf ka silsila
ek zaKHm main murid to ek zaKHm pir main
har zaKHm qafile ki guzargah mera dil
ru-e-zamin pe ek lahu ki lakir main
Ghazal
Sune siyah shahr pe manzar-pazir main
Farhat Ehsas