اردو हिंदी
Sine mein un ke jalwe chhupae hue to hain | Shaahi Shayari
sine mein un ke jalwe chhupae hue to hain

Ghazal

Sine mein un ke jalwe chhupae hue to hain

Asrar-ul-Haq Majaz

;

sine mein un ke jalwe chhupae hue to hain
hum apne dil ko tur banae hue to hain

tasir-e-jazb-e-shauq dikhae hue to hain
hum tera har hijab uThae hue to hain

han kya hua wo hausla-e-did-e-ahl-e-dil
dekho na wo naqab uThae hue to hain

tere gunahgar gunahgar hi sahi
tere karam ki aas lagae hue to hain

allah-ri kaamyabi-e-awargan-e-ishq
KHud gum hue to kya use pae hue to hain

yun tujh ko iKHtiyar hai tasir de na de
dast-e-dua hum aaj uThae hue to hain

zikr un ka gar zaban pe nahin hai to kya hua
ab tak nafas nafas mein samae hue to hain

miTte huon ko dekh ke kyun ro na den 'majaz'
aaKHir kisi ke hum bhi miTae hue to hain