shadi ke jo afsane hain rangin bahut hain
lekin jo haqaeq hain wo sangin bahut hain
iblis bichaare hi ko be-kar na koso
insan ke andar bhi shayatin bahut hain
baKHshish ki surat unhen dete raho rishwat
sarkar ke daftar mein masakin bahut hain
is daur ke mardon ki jo ki shakl-shumari
sabit hua duniya mein KHwatin bahut hain
jab hazrat-e-naseh ne kiya murgh tanawul
farmaya ki dalon mein protein bahut hain
mahsus hua sun ke taqarir-e-mughallaz
ab ahl-e-siyasat mein bhi chirkin bahut hain
tanKHwah ka ho jaega pal bhar mein kabaDa
begam teri farmaishen do tin bahut hain
KHadsha hai ki us shoKH ka baDh jae na BP
'shahid' tere ashaar jo namkin bahut hain
Ghazal
Shadi ke jo afsane hain rangin bahut hain
Sarfaraz Shahid