scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad
wo hasin lagti hai lekin kitni tayyari ke baad
muddaton ke baad us ko dekh kar aisa laga
jaise roza-dar ki haalat ho aftari ke baad
bandh kar sahra nazar aae hai yun nausha-miyan
jis tarah mujrim dikhai de giraftari ke baad
heroine pachpan baras ki ho chukin to gham nahin
ab gulu-kari karengi wo adakari ke baad
qaum ko bedar kar disco-music chheD kar
jo bichaari so chuki hai rag-darbari ke baad
id par masrur hain donon miyan biwi bahut
ek KHaridari se pahle ek KHaridari ke baad
aqd-e-sani ka maza pucha to bole shaiKH-ji
aise lagta hai chikan chakkha hai tarkari ke baad
rah-e-ulfat ki traffic ho ki motor-way ki ho
hadse hote hain 'shahid' tez-raftari ke baad
Ghazal
Scent ki kajle ki aur ghaze ki gul-kari ke baad
Sarfaraz Shahid