samajh mein KHak ye jadugari nahin aati
charagh jalte hain aur raushni nahin aati
kisi ke naz pe afsurda-KHatiri dil ki
hansi ki baat hai phir bhi hansi nahin aati
na puchh haiat-e-tarf-o-chaman ki aisi bhi
bahaar bagh mein bahki hui nahin aati
hujum-e-aish to in tira-bastiyon mein kahan
kahin se aah ki aawaz bhi nahin aati
judaiyon se shikayat to ho bhi jati hai
rifaqaton se wafa mein kami nahin aati
kuchh aisa mahw hai asbab-e-ranj-o-aish mein dil
ki aish o ranj ki pahchan hi nahin aati
saza ye hai ki rahen chashm-e-lutf se mahrum
KHata ye hai ki hawas peshgi nahin aati
KHuda rakhe teri mahfil ki raunaqen aabaad
nazargi se nazar mein kami nahin aati
baDi talash se milti hai zindagi ai dost
qaza ki tarah pata puchhti nahin aati
Ghazal
Samajh mein KHak ye jadugari nahin aati
Shaanul Haq Haqqi