safar bhi jabr hai na-chaar karna paDta hai
adu ko qafila-salar karna paDta hai
gale mein Dalni paDti hain dhajjiyan apni
aur apni dhul ko dastar karna paDta hai
banana paDta hai sochon mein ek mahal aur phir
KHud apne hath se mismar karna paDta hai
na-jaane kaun si majburiyan hain jin ke liye
KHud apni zat se inkar karna paDta hai
koi bhi masala phir masala nahin rahta
zara zamir ko bedar karna paDta hai
banana paDta hai apne badan ko chhat apni
aur apne sae ko diwar karna paDta hai
hamari gardanen mashrut hain so in ke liye
saron ko KHam sar-e-darbar karna paDta hai
Ghazal
Safar bhi jabr hai na-chaar karna paDta hai
Athar Nasik