اردو हिंदी
Ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin | Shaahi Shayari
ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin

Ghazal

Ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin

Ghulam Husain Sajid

;

ruka hun kis ke wahm mein mere guman mein nahin
charagh jal raha hai aur koi makan mein nahin

wo tair-e-nigah bhi safar mein sath hai mere
ki jis ka zikr tak abhi kisi uDan mein nahin

meri talab mere liye malal chhoD kar gai
jo shai mujhe pasand hai wahi dukan mein nahin

koi ajib KHwab tha agar main yaad kar sukun
koi ajib baat thi magar wo dhyan mein nahin

wo dushmani ki shan se mile to dil mein rah gae
magar ye baat dosti ki aan-ban mein nahin

main rizq-e-KHwab ho ke bhi usi KHayal mein raha
wo kaun hai jo zindagi ke imtihan mein nahin

wo KHwab sham-e-hijr mein sahar ki aas tha mujhe
magar wo tere wasl ki khuli aman mein nahin