raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha
dil ko mujh se mujhe kuchh dil se sarokar na tha
gird us kuche ke kis din ye gunahgar na tha
wae hasrat ki koi raKHna ba-diwar na tha
kal to bimar ko tha tere na bistar pe qarar
aaj bistar tha faqat aur wo bimar na tha
shukr ai baad-e-fana jun shajar-e-soKHta main
tha to gulshan mein wale qabil-e-gulzar na tha
nahin til dharne ki jagah jo ba-afzuni-e-husn
dekha shab us ko to ek KHal ba-ruKHsar na tha
raat kya baat thi batla tere sadqe jaun
aahen bharna wo tera KHali-az-asrar na tha
dil ko dhar nok-e-sinan par wo ye bola hans ke
hum ne mansur ko dekha ba-sar-e-dar na tha
bahs mein chashm-e-tar-o-abr ki kal tha jo saman
kabhi is shakl se rone ka bandha tar na tha
zabh hum samne hote hi hue qatil ke
bawajude-ki koi hath mein hathiyar na tha
baad murdan mere tabut pe sab rote the
chashm-e-pur-ab magar ek wo sitamgar na tha
lek kya munh ko chhupata tha jo kahte the ye log
us ko zahir mein to marne ka kuchh aazar na tha
taba kah aur ghazal, hai ye 'naziri' ka jawab
reKHta ye jo paDha qabil-e-izhaar na tha
Ghazal
Raat jab tak mere pahlu mein wo dildar na tha
Jurat Qalandar Bakhsh