اردو हिंदी
Raste sikhate hain kis se kya alag rakhna | Shaahi Shayari
raste sikhate hain kis se kya alag rakhna

Ghazal

Raste sikhate hain kis se kya alag rakhna

Aadil Raza Mansoori

;

raste sikhate hain kis se kya alag rakhna
manzilen alag rakhna qafila alag rakhna

baad ek muddat ke lauT kar wo aaya hai
aaj to kahani se hadisa alag rakhna

jis se hum ne sikha tha sath sath chalna hai
ab wahi batata hai naqsh-e-pa alag rakhna

kuza-gar ne jaane kyun aadmi banaya hai
us ko sab khilaunon se tum zara alag rakhna

lauT kar to aae ho tajrabon ki surat hai
par meri kahani se falsafa alag rakhna

tum to KHub waqif ho ab tumhi batao na
kis mein kya milana hai kis se kya alag rakhna

KHwahishon ka KHamyaza KHwab kyun bharen 'adil'
aaj meri aankhon se rat-jaga alag rakhna