rasta koi safar koi masafat koi
phir KHarabi ki ata ho mujhe surat koi
sare dariya hain yahan mauj mein apni apni
mere sahra ko nahin in se shikayat koi
jam gai dhul mulaqat ke aainon par
mujh ko us ki na use meri zarurat koi
main ne duniya ko sada dil ke barabar samjha
kaam aai na buzurgon ki nasihat koi
surmai sham ke hamrah parindon ki qatar
dekhne walon ki aankhon ko bashaarat koi
bujhti aankhon ko kisi nur ke dariya ki talash
TuTti sans ko zanjir zarurat koi
tu ne har naKHl mein kuchh zauq-e-numu rakkha hai
ai KHuda mere panapne ki alamat koi
Ghazal
Rasta koi safar koi masafat koi
Asad Badayuni