qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
wo shaKHs koi faisla kar bhi nahin jata
aankhen hain ki KHali nahin rahti hain lahu se
aur zaKHm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jata
wo rahat-e-jaan hai magar is dar-badri mein
aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jata
hum dohri aziyyat ke giraftar musafir
panw bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jata
dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
aur tujh se bichhaD jaane ka Dar bhi nahin jata
pagal hue jate ho 'faraaz' us se mile kya
itni si KHushi se koi mar bhi nahin jata
Ghazal
Qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata
Ahmad Faraz