qais jangal mein akela hai mujhe jaane do
KHub guzregi jo mil baiThenge diwane do
lal Dore teri aankhon mein jo dekhe to khula
mai-e-gul-rang se labrez hain paimane do
Thahro tewri ko chaDhae hue jate ho kidhar
dil ka sadqa to abhi sar se utar jaane do
mana kyun karte ho ishq-e-but-e-shirin-lab se
kya maze ka hai ye gham dosto gham khane do
hum bhi manzil pe pahunch jaenge marte khapte
qafila yaron ka jata hai agar jaane do
sham o parwana na mahfil mein hon baham zinhaar
shama-ru ne mujhe bheje hain ye parwane do
ek aalam nazar aaega giraftar tumhein
apne gesu-e-rasa ta-ba-kamar jaane do
saKHt-jaani se main aari hun nihayat ai 'talKH'
paD gae hain teri shamshir mein dandane do
hashr mein pesh-e-KHuda faisla is ka hoga
zindagi mein mujhe us gabr ko tarsane do
gar mohabbat hai to wo mujh se phirega na kabhi
gham nahin hai mujhe ghammaz ko bhaDkane do
josh-e-barish hai abhi thamte ho kya ai ashko
daman-e-koh-o-bayaban ko to bhar jaane do
waizon ko na kare mana nasihat se koi
main na samjhunga kisi tarah se samjhane do
ranj deta hai jo wo pas na jao 'sayyah'
mano kahne ko mere dur karo jaane do
Ghazal
Qais jangal mein akela hai mujhe jaane do
Miyan dad Khan Sayyah