اردو हिंदी
Phir ji uThe hain jis se wo imkan tum nahin | Shaahi Shayari
phir ji uThe hain jis se wo imkan tum nahin

Ghazal

Phir ji uThe hain jis se wo imkan tum nahin

Saleem Kausar

;

phir ji uThe hain jis se wo imkan tum nahin
ab jo bhi kar raha hai ye ehsan tum nahin

mujh mein badal raha hai jo ek aalam-e-KHayal
us lamha-e-junun ke nigahban tum nahin

bujhte hue charagh ki lau jis ne tez ki
wo aur hi hawa hai meri jaan tum nahin

phir yun hua ki jaise girah khul gai koi
mushkil to bas yahi thi ki aasan tum nahin

tum ne suni nahin hai sada-e-shikast-e-dil
hum jhelte rahe hain ye nuqsan tum nahin

tum se to bas nibah ki surat nikal paDi
jis se hue the wada o paiman tum nahin

KHush-fahmiyon ki baat alag hai magar ye ghar
jis ke liye saja hai wo mehman tum nahin

ye aalam-e-zuhur hai hijrat-zada 'salim'
hum bhi dukhi hain sirf pareshan tum nahin