'nasir' kya kahta phirta hai kuchh na suno to behtar hai
diwana hai diwane ke munh na lago to behtar hai
kal jo tha wo aaj nahin jo aaj hai kal miT jaega
rukhi-sukhi jo mil jae shukr karo to behtar hai
kal ye tab-o-tawan na rahegi ThanDa ho jaega lahu
nam-e-KHuda ho jawan abhi kuchh kar guzro to behtar hai
kya jaane kya rut badle haalat ka koi Thik nahin
ab ke safar mein tum bhi hamare sath chalo to behtar hai
kapDe badal kar baal bana kar kahan chale ho kis ke liye
raat bahut kali hai 'nasir' ghar mein raho to behtar hai
Ghazal
Nasir kya kahta phirta hai kuchh na suno to behtar hai
Nasir Kazmi