na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain
ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain
na puchh jab wo guzarta hai be-niyazi se
to kis malal se hum nama-bar ko dekhte hain
tere jamal se haT kar bhi ek duniya hai
ye ser-chashm magar kab udhar ko dekhte hain
ajab fusun-e-KHaridar ka asar hai ki hum
usi ki aankh se apne hunar ko dekhte hain
'faraaz' dar-KHur-e-sajda har aastana nahin
hum apne dil ke hawale se dar ko dekhte hain
Ghazal
Na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain
Ahmad Faraz