musafir ke raste badalte rahe
muqaddar mein chalna tha chalte rahe
mere raston mein ujala raha
diye us ki aankhon mein jalte rahe
koi phul sa hath kandhe pe tha
mere panw shoalon pe jalte rahe
suna hai unhen bhi hawa lag gai
hawaon ke jo ruKH badalte rahe
wo kya tha jise hum ne Thukra diya
magar umr bhar hath malte rahe
mohabbat adawat wafa be-ruKHi
kirae ke ghar the badalte rahe
lipaT kar charaghon se wo so gae
jo phulon pe karwaT badalte rahe
Ghazal
Musafir ke raste badalte rahe
Bashir Badr