muntazir tha wo to just-o-ju mein ye aawara tha
shefta tera hi tha jo sabit-o-sayyara tha
hai jo hasrat to sarapa chashm hone ki hamein
hasil is aaina-KHana mein faqat nazzara tha
jab shab-e-mah mein chakor uDta hai mar jate hain hum
putliyon ka apni bhi tara koi ruKHsara tha
khol kar dil jab main rota tha firaq-e-yar mein
chashm-e-tar mamba thi har mu-e-mizha fawwara tha
sail-e-girya ne ye kis ke di samundar ko shikast
jo habab aaya nazar ek wazhgun naqqara tha
ek shab to wasl-e-jaanan ki tawazo ai falak
chaar din mehman tere ghar mein main be-chaara tha
roz-o-shab ke haal ka likhta tha parcha roz-o-shab
katib-e-amal meri DewDhi ka harkara tha
piTna sar apne matam mein azizo yar ka
qila-e-kunj-e-lahad ki fath ka naqqara tha
ahd-e-tifli se junun-e-ishq kaamil hai shafiq
shaKH-e-naKHl-e-bed-e-majnun se mera gahwara tha
jaan-e-shirin muzd ju-e-shir mein tesha ko di
hausla se apne bahar kohkan be-chaara tha
haalat-e-dil ko bayan karta kisi se main to kya
ishq mein ek mushaf-e-ruKHsar ke sipara tha
ye hua zahir ana laila-e-majnun se hamein
apna diwana tha apne waste aawara tha
haal apna ai sanam apni judai mein na puchh
sina o sar tha hamara aur sang-e-KHara tha
kucha-e-qatil mein jab shauq-e-shahadat le gaya
sar na tha gardan par apne bar-e-sad-pushtara tha
loTta tha is mein bad-KHui se main manind-e-ashk
shoKHi-e-tiflan se jumban mera gahwara tha
shan-e-ishq aula hai majnun dudman-e-ishq se
na-KHalaf na-qabil o nalaeq o nakara tha
ahl-e-alam se hamesha 'atish' izaen huin
mardum-e-duniya namak the main dil-e-sad-para tha
Ghazal
Muntazir tha wo to just-o-ju mein ye aawara tha
Haidar Ali Aatish