اردو हिंदी
Mujhe zaman-o-makan ki hudud mein na rakh | Shaahi Shayari
mujhe zaman-o-makan ki hudud mein na rakh

Ghazal

Mujhe zaman-o-makan ki hudud mein na rakh

Zulfiqar Naqvi

;

mujhe zaman-o-makan ki hudud mein na rakh
sada-o-saut ki andhi quyud mein na rakh

main tere harf-e-dua se bhi mawara hun miyan
mujhe tu apne salam-o-durud mein na rakh

kalim-e-waqt ke dar ko jabin tarasti hai
amir-e-shahr ke bekal sujud mein na rakh

nizam-e-qaisar-o-kisra ki main rawani hun
wajub-e-ain hun sahab shuhud mein na rakh

bichha yaqin ka musalla darun-e-hasti mein
niyaz-o-raaz ke qisse numud mein na rakh

pas-e-wajud jahan meri KHak hi to hai
rumuz-e-hasti-e-dauran warud mein na rakh