mujhe kahan mere andar se wo nikalega
parai aag mein koi na hath Dalega
wo aadmi bhi kisi roz apni KHalwat mein
mujhe na pa ke koi aaina nikalega
wo sabz Dal ka panchhi main ek KHushk daraKHt
zara si der mein wo apna rasta lega
main wo charagh hun jis ki ziya na phailegi
mere mizaj ka suraj mujhe chhupa lega
kuredta hai bahut rakh mere mazi ki
main chuk jaun to wo ungliyan jala lega
wo ek thaka hua rahi main ek band sarae
pahunch bhi jaega mujh tak to mujh se kya lega
Ghazal
Mujhe kahan mere andar se wo nikalega
Aziz Bano Darab Wafa