mujh se kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai
mazhab to bas mazhab-e-dil hai baqi sab gumrahi hai
wo jo hue firdaus-badar taqsir thi wo aadam ki magar
mera azab-e-dar-badri meri na-karda-gunahi hai
sang to koi baDh ke uThao shaKH-e-samar kuchh dur nahin
jis ko bulandi samjhe ho un hathon ki kotahi hai
phir koi manzar phir wahi gardish kya kije ai ku-e-nigar
mere liye zanjir-e-gulu meri aawara-nigahi hai
bahr-e-KHuda KHamosh raho bas dekhte jao ahl-e-nazar
kya laghzida-qadam hain us ke kya duzdida-nigahi hai
did ke qabil hai to sahi 'majruh' teri mastana-rawi
gard-e-hawa hai raKHt-e-safar raste ka shajar ham-rahi hai
Ghazal
Mujhse kaha jibril-e-junun ne ye bhi wahi-e-ilahi hai
Majrooh Sultanpuri