اردو हिंदी
Ab zoaf se Dhahta hai betabi shitabi ki | Shaahi Shayari
ab zoaf se Dhahta hai betabi shitabi ki

Ghazal

Ab zoaf se Dhahta hai betabi shitabi ki

Mir Taqi Mir

;

ab zoaf se Dhahta hai betabi shitabi ki
us dil ke taDapne ne kya KHana-KHarabi ki

un daras-gahon mein wo aaya na nazar hum ko
kya naqal karun KHubi us chehra kitabi ki

bhunte hain dil ek jaanib sakte hain jigar yaksu
hai majlis-e-mushtaqan dukan kababi ki

talKH us lab-e-mai-gun se sab sunte hain kis KHatir
tah-dar nahin hoti guftar sharabi ki

yak bu kushi bulbul hai maujib-e-sad-masti
pur-zor hai kya daru ghunche ki gulabi ki

ab soz-e-mohabbat se sare jo phaphole hain
hai shakl mere dil ki sab shisha hababi ki

nash-murda mere munh se yan harf nahin nikla
jo baat ki main ne ki so 'mir' hisabi ki