اردو हिंदी
Agar rah mein uski rakha hai gam | Shaahi Shayari
agar rah mein uski rakha hai gam

Ghazal

Agar rah mein uski rakha hai gam

Mir Taqi Mir

;

agar rah mein us ki rakha hai gam
gae guzre KHizar alaihis-salam

dahan yar ka dekh chup lag gai
suKHan yan hua KHatm hasil-kalam

mujhe dekh munh par pareshan ki zulf
gharaz ye ki ja tu hui ab to sham

sar-e-sham se rahti hain kahishen
hamein shauq us mah ka hai tamam

qayamat hi yan chashm-o-dil se rahi
chale bas to wan ja ke kariye qayam

na dekhe jahan koi aankhon ki aur
na lewe koi jis jagah dil ka nam

jahan 'mir' zer-o-zabar ho gaya
KHiraman hua tha wo mahshar-KHiram