اردو हिंदी
Mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar | Shaahi Shayari
mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar

Ghazal

Mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar

Akbar Allahabadi

;

mehrbani hai ayaadat ko jo aate hain magar
kis tarah un se hamara haal dekha jaega

daftar-e-duniya ulaT jaega baatil yak-qalam
zarra zarra sab ka asli haal dekha jaega

official aamal-nama ki na hogi kuchh sanad
hashr mein to nama-e-amal dekha jaega

bach rahe taun se to ahl-e-ghaflat bol uThe
ab to mohlat hai phir agle sal dekha jaega

tah karo sahab nasb-nami wo waqt aaya hai ab
be-asar hogi sharafat mal dekha jaega

rakh qadam sabit na chhoD 'akbar' siraat-e-mustaqim
KHair chal jaane de un ki chaal dekha jaega