marka jab chhiD gaya to kya hua hum se suno
kushtagan-e-shahr-e-KHun ka majra hum se suno
kyun shajar sukhe hue hain kyun nahin barg o samar
mausamon ne is chaman mein kya kiya hum se suno
parda-e-sad-rang-hairat KHana-e-nairang mein
kaun hai aaina-andar-aina hum se suno
taq o dar mein kyun charaghon ki lawen KHamosh hain
kya hua wo raushni ka silsila hum se suno
aur ye chashm-e-tamasha band ho jati hai jab
parda-e-dil par nazar aata hai kya hum se suno
kyun nahin hote munajaton ke mani munkashif
ramz ban jata hai kyun harf-e-dua hum se suno
Ghazal
Marka jab chhiD gaya to kya hua humse suno
Anees Ashfaq