labon mein aa ke qulfi ho gae ashaar sardi mein
ghazal kahna bhi ab to ho gaya dushwar sardi mein
mohalle bhar ke bachchon ne Dhakela subh-dam us ko
magar hoti nahin start apni car sardi mein
may aur june ki garmi mein jo dilbar ko likkha tha
usi KHat ka jawab aaya hai aaKHir-kar sardi mein
dawa de de ke khansi aur nazle ki marizon ko
mualij KHud bichaare paD gae bimar sardi mein
kai ahl-e-nazar is ko bhi disco ki ada samjhe
bichaara kapkapaya jab koi fankar sardi mein
yahi to choriyon aur wardaton ka zamana hai
ki baiThe tapte hain aag pahre-dar sardi mein
lahu ko is tarah ab garm rakhta hai mera 'shahid'
kabhi chae kabhi cigarette kabhi niswar sardi mein
Ghazal
Labon mein aa ke qulfi ho gae ashaar sardi mein
Sarfaraz Shahid