اردو हिंदी
Kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi | Shaahi Shayari
kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi

Ghazal

Kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi

Akhtar Ansari

;

kya KHabar thi ek bala-e-na-gahani aaegi
na-muradi ki nishani ye jawani aaegi

sab kahenge kaun karta hai hamare raaz fash
jab mere lab par mohabbat ki kahani aaegi

na-muradi se kaho munh pher le apna zara
meri duniya mein urus-e-kaamrani aaegi

jab KHizan ki nazr ho jaegi duniya se shabab
yaad 'aKHtar' ye sitam-ara jawani aaegi