kya karwan-e-hasti guzra rawa-rawi mein
farda ko main ne dekha gard-o-ghubar-e-di mein
the mahw lala-o-gul kis kaif-e-be-KHudi mein
zaKHm-e-jigar ke Tanke TuTe hansi hansi mein
yaran-e-bazm-e-ishrat DhunDun kahan main tum ko
taron ki chhanw mein ya pichhle ki chandni mein
har uqda mein jahan ke poshida hai kashakash
hai mauj-e-KHanda-e-gul pinhan kali kali mein
zaKHmon mein KHud chamak hai aur us pe ye sitam hai
rang-e-paridan se main rahta hun chandni mein
hum kis shumar mein the pursish jo hum se hoti
ye imtiyaz paya aashob-e-agahi mein
hukm-e-qaza ho jaisa sarzad ho feal waisa
banda ka daKHl bhi hai phir is kahi badi mein
raftar-e-saya ko hai past-o-buland yaksan
Thokar kabhi na khae rah-e-farotani mein
wajd aa gaya falak ko ghash aa gaya zamin ko
do tarah ke asar the ek saut-e-sarmadi mein
tabir us ki shayad ek wapsin nafas ho
jo KHwab dekhte the hum sari zindagi mein
lai hubab tak ko sail-e-fana baha kar
ek aah khinchne ko ek dam ki zindagi mein
mahshar ki aafaton ka dhaDka nahin raha ab
sau hashr main ne dekhe do din ki zindagi mein
pahlu mein tu ho ai dil phir hasraten hazaron
kis baat ki kami hai teri salamti mein
pursan-e-haal wo ho aur samne bula kar
kya jaaniye zaban se kya nikle be-KHudi mein
tu ek zill-e-hasti phir kaisi KHud-parasti
saya ki parwarish hai daman-e-be-KHudi mein
hael bas ek nafas hai mahshar mein aur hum mein
parda habab ka hai farda mein aur di mein
aankhen dikha rahi hai din se mujhe shab-e-gham
aasar tirgi ke hain din ki raushni mein
tu ne to apne dar se mujh ko uTha diya hai
parchhain phir rahi hai meri usi gali mein
sajda ka hukm mujh ko tu ne to ab diya hai
pahle hi likh chuka hun main KHatt-e-bandgi mein
ai 'nazm' chheD kar hum tujh ko hue pasheman
kya jaante the zalim ro dega dil-lagi mein
Ghazal
Kya karwan-e-hasti guzra rawa-rawi mein
Nazm tabaa-tabaa.ii