kuchh din to baso meri aankhon mein
phir KHwab agar ho jao to kya
koi rang to do mere chehre ko
phir zaKHm agar mahkao to kya
jab hum hi na mahke phir sahab
tum baad-e-saba kahlao to kya
ek aaina tha so TuT gaya
ab KHud se agar sharmao to kya
tum aas bandhane wale the
ab tum bhi hamein Thukrao to kya
duniya bhi wahi aur tum bhi wahi
phir tum se aas lagao to kya
main tanha tha main tanha hun
tum aao to kya na aao to kya
jab dekhne wala koi nahin
bujh jao to kya gahnao to kya
ab wahm hai ye duniya is mein
kuchh khoo to kya aur pao to kya
hai yun bhi ziyan aur yun bhi ziyan
ji jao to kya mar jao to kya

Ghazal
Kuchh din to baso meri aankhon mein
Obaidullah Aleem