KHayalistan-e-hasti mein agar gham hai KHushi bhi hai
kabhi aankhon mein aansu hain kabhi lab par hansi bhi hai
inhi gham ki ghaTaon se KHushi ka chand niklega
andheri raat ke parde mein din ki raushni bhi hai
yunhi takmil hogi hashr tak taswir-e-hasti ki
har ek takmil aaKHir mein payam-e-nesti bhi hai
ye wo saghar hai sahba-e-KHudi se pur nahin hota
hamare jam-e-hasti mein sarishk-e-be-KHudi bhi hai
Ghazal
KHayalistan-e-hasti mein agar gham hai KHushi bhi hai
Akhtar Shirani