اردو हिंदी
KhaDe hain musa uThao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz | Shaahi Shayari
khaDe hain musa uThao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz

Ghazal

KhaDe hain musa uThao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz

Ahmad Husain Mail

;

khaDe hain musa uThao parda dikhao tum aab-o-tab-e-ariz
hijab kyun hai ki KHud tajalli bani hui hai hijab-e-ariz

na ruk sakegi ziya-e-ariz jo sadd-e-rah ho naqab-e-ariz
wo hogi be-parda rakh ke parda ghazab ki chanchal hai tab-e-ariz

chhupa na munh donon hath se yun taDapti hai barq-e-tab-e-ariz
laga na de aag ungliyon mein ye garmi-e-iztirab-e-ariz

jo un ko lipTa ke gal chuma haya se aane laga pasina
hui hai boson ki garm bhaTTi khinche na kyun kar sharab-e-ariz

pari jo dekhe kahe taDap kar jo hur dekhe kahe phaDak kar
tumhaara gesu jawab-e-gesu tumhaara aariz jawab-e-ariz

huzur ghunghaT uTha ke aaen baDi chamak kis mein hai dikhaen
idhar rahe aaftab-e-mahshar udhar rahe aaftab-e-ariz

chhupana kya ek ka tha manzur aaj tak hain jo chaar mashhur
zabur tauret mushaf injil panchwin hai kitab-e-ariz

na kyun ho dawa barabari ka wahan mila til yahan suwaida
ye nuqta-e-intiKHab-e-ariz hai wo nuqta-e-intiKHab-e-ariz

paDa hun ghash mein mujhe sungha do pasina chehre ka zulf ki bu
nahin hai kam laKHlaKHe se mujh ko ye mushk-e-gesu gulab-e-ariz

jo shoala-ru munh chhupa ke nikla dhuan sar-e-rah kuchh kuchh uTTha
lagi wo aatish bane hai jal kar naqab-e-ariz kabab-e-ariz

na jhepo subh-e-visal dekho tum aankh se aankh to milao
liye hain gin gin ke main ne bose zaban par hai hisab-e-ariz

karo na ghusse se lal chehra bhawon mein Dalo na bal KHudara
nahin majal-e-jalal-e-abru nahin hai tab-e-itab-e-ariz

jo gal par gal hum rakhenge shab-e-visal un ke hath uThenge
tamanche marenge pyar se wo bajengge chang-o-rubab-e-ariz

kamar ko gardan ko dast-o-lab ko visal mein lutf de raha hai
shabab-e-zanu shabab-e-bazu shabab-e-sina shabab-e-ariz

janab-e-'mail' ye kudak-e-dil buton ki ulfat mein hoga kaamil
paDhao quran ke badle is ko bayaz-e-gardan kitab-e-ariz