KHamushi se hui fughan se hui
ibtida ranj ki kahan se hui
koi tair idhar nahin aata
kaisi taqsir is makan se hui
mausamon par yaqin kyun chhoDa
bad-gumani to saeban se hui
be-nihayat samundaron ka safar
guftugu sirf baadban se hui
ye jo uljhi hui kahani hai
mo'tabar harf-e-raegan se hui
dil ki aabaadiyon ko puchho ho
raushni barq-e-be-aman se hui
tishnagi bebasi lab-e-dariya
meri pahchan hi wahan se hui
itni ujli na thi ye rahguzar
naqsh-e-pa-e-bala-kashan se hui
Ghazal
KHamushi se hui fughan se hui
Ada Jafri