kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya
dekhta bhaalta har shaKH ko sayyaad aaya
mere qabu mein na pahron dil-e-nashad aaya
wo mera bhulne wala jo mujhe yaad aaya
koi bhula hua andaz-e-sitam yaad aaya
ki tabassum tujhe zalim dam-e-be-dad aaya
lae hain log janaze ki tarah mahshar mein
kis musibat se tera kushta-e-bedad aaya
jazb-e-wahshat tere qurban tera kya kahna
khinch ke rag rag mein mere nashtar-e-fassad aaya
us ke jalwe ko gharaz kaun-o-makan se kya tha
dad lene ke liye husn-e-KHuda-dad aaya
bastiyon se yahi aawaz chali aati hai
jo kiya tu ne wo aage tere farhad aaya
dil-e-viran se raqibon ne muraden pain
kaam kis kis ke mera KHirman-e-barbaad aaya
ishq ke aate hi munh par mere phuli hai basant
ho gaya zard ye shagird jab ustad aaya
ho gaya farz mujhe shauq ka daftar likhna
jab mere hath koi KHama-e-faulad aaya
id hai qatl mera ahl-e-tamasha ke liye
sab gale milne lage jab ki wo jallad aaya
chain karte hain wahan ranj uThane wale
kaam uqba mein hamara dil-e-nashad aaya
di shab-e-wasl moazzin ne azan pichhli raat
hae kam-baKHt ko kis waqt KHuda yaad aaya
mere nale ne sunai hai khari kis kis ko
munh farishton pe ye gustaKH ye aazad aaya
gham-e-jawed ne di mujh ko mubarakbaadi
jab suna ye ki unhen shewa-e-bedad aaya
main tamanna-e-shahadat ka maza bhul gaya
aaj is shauq se arman se jallad aaya
shadiyana jo diya nala o shewan ne diya
jab mulaqat ko nashad ki nashad aaya
lijiye suniye ab afsana-e-furqat mujh se
aap ne yaad dilaya to mujhe yaad aaya
aap ki bazm mein sab kuchh hai magar 'dagh' nahin
hum ko wo KHana-KHarab aaj bahut yaad aaya
Ghazal
Kaun sa tair-e-gum-gashta use yaad aaya
Dagh Dehlvi