اردو हिंदी
Kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main | Shaahi Shayari
kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main

Ghazal

Kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main

Asrar-ul-Haq Majaz

;

kamal-e-ishq hai diwana ho gaya hun main
ye kis ke hath se daman chhuDa raha hun main

tumhin to ho jise kahti hai naKHuda duniya
bacha sako to bacha lo ki Dubta hun main

ye mere ishq ki majburiyan maaz-allah
tumhaara raaz tumhin se chhupa raha hun main

is ek hijab pe sau be-hijabiyan sadqe
jahan se chahta hun tum ko dekhta hun main

batane wale wahin par batate hain manzil
hazar bar jahan se guzar chuka hun main

kabhi ye zom ki tu mujh se chhup nahin sakta
kabhi ye wahm ki KHud bhi chhupa hua hun main

mujhe sune na koi mast-e-baada-e-ishrat
'majaz' TuTe hue dil ki ek sada hun main