kaisi kaisi aayaten mastur hain nuqte ke bich
kya ghane jangal chhupe baiThe hain ek dane ke bich
rafta rafta raKHna raKHna ho gai miTTi ki gend
ab KHalijon ke siwa kya rah gaya naqshe ke bich
main to bahar ke manazir se abhi farigh nahin
kya KHabar hai kaun se asrar hain parde ke bich
ai dil-e-nadan kisi ka ruThna mat yaad kar
aan Tapkega koi aansu bhi is jhagDe ke bich
sare aKHbaron mein dekhun haal apne burj ka
ab mulaqat us se hogi kaun se hafte ke bich
main ne 'anwar' is liye bandhi kalai par ghaDi
waqt puchhenge kai mazdur bhi raste ke bich
Ghazal
Kaisi kaisi aayaten mastur hain nuqte ke bich
Anwar Masood