juz tere koi bhi din raat na jaane mere
tu kahan hai magar ai dost purane mere
tu bhi KHushbu hai magar mera tajassus bekar
barg-e-awara ki manind Thikane mere
shama ki lau thi ki wo tu tha magar hijr ki raat
der tak rota raha koi sirhane mere
KHalq ki be-KHabari hai ki meri ruswai
log mujh ko hi sunate hain fasane mere
luT ke bhi KHush hun ki ashkon se bhara hai daman
dekh ghaarat-gar-e-dil ye bhi KHazane mere
aaj ek aur baras bit gaya us ke baghair
jis ke hote hue hote the zamane mere
kash tu bhi meri aawaz kahin sunta ho
phir pukara hai tujhe dil ki sada ne mere
kash tu bhi kabhi aa jae masihai ko
log aate hain bahut dil ko dukhane mere
kash auron ki tarah main bhi kabhi kah sakta
baat sun li hai meri aaj KHuda ne mere
tu hai kis haal mein ai zud-faramosh mere
mujh ko to chhin liya ahd-e-wafa ne mere
chaaragar yun to bahut hain magar ai jaan-e-'faraaz'
juz tere aur koi zaKHm na jaane mere
Ghazal
Juz tere koi bhi din raat na jaane mere
Ahmad Faraz