اردو हिंदी
Justuju ke panw ab aaram sa pane lage | Shaahi Shayari
justuju ke panw ab aaram sa pane lage

Ghazal

Justuju ke panw ab aaram sa pane lage

Chandrabhan Khayal

;

justuju ke panw ab aaram sa pane lage
ab hamare pas bhi kuchh raste aane lage

waqt aur haalat par kya tabsira kije ki jab
ek uljhan dusri uljhan ko suljhane lage

shahr mein jurm-o-hawadis is qadar hain aaj-kal
ab to ghar mein baiTh kar bhi log ghabrane lage

dil mein aa baiTha hai dekho duriyon ka dewta
hum jamaat ke tasawwur se bhi uktane lage

tum kisi mazlum ki aawaz ban kar gunjna
yaad meri jab tumhein shiddat se taDpane lage

le raha hai dard angDai uTha wo ehtijaj
zaKHm-KHurda sab parinde pankh phailane lage

kaam aisa kyun kiya jae ki jis ke baad mein
aadmi apne kiye par aap pachhtane lage