jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka
aankhon mein phir raha hai muraqqa najat ka
malik hi ke suKHan mein talawwun jo paiye
kahiye yaqin laiye phir kis ki baat ka
daftar hamari umr ka dekhoge jab kabhi
fauran use karoge muraqqa najat ka
ulfat mein mar miTe hain to puchhe hi jaenge
ek roz lutf uThaenge is wardat ka
surKHi ki KHatt-e-shauq mein hajat jahan hui
KHun-e-jigar mein nok Duboya dawat ka
mujid jo nur ka hai wo mera charagh hai
parwana hun main anjuman-e-kaenat ka
ai sham-e-bazm-e-yar wo parwana kaun tha
lau mein teri ye dagh hai jis ki wafat ka
mujh se to lan-taraniyan us ne kabhi na kin
musi jawab de na sake jis ki baat ka
is be-KHudi ka denge KHuda ko wo kya jawab
dam bharte hain jo chand nafas ke hubab ka
qudsi hue mutia wo taat bashar ne ki
kul iKHtiyar haq ne diya kaenat ka
aisa itab-nama to dekha suna nahin
aaya hai kis ke waste sura baraat ka
zi-ruh mujh ko tu ne kiya musht-e-KHak se
banda rahunga main tere is iltifat ka
nachiz hun magar main hun un ka fasana-go
quran hamd-nama hai jin ki sifat ka
roya hai mera dida-e-tar kis shahid ko
mashhur ho gaya hai jo chashma furaat ka
aae to aae aalam-e-arwah se wahan
dam bhar jahan nahin hai bharosa sabaat ka
dhum us ke husn ki hai do-alam mein ai 'shraf'
KHurshid roz ka hai wo mahtab raat ka
Ghazal
Jab se hua hai ishq tere ism-e-zat ka
Agha Hajju Sharaf