jab se bandha hai tasawwur us ruKH-e-pur-nur ka
sare ghar mein nur phaila hai charagh-e-tur ka
baKHt-e-wazhun se jale kyun dil na mujh mahrur ka
marham-e-kafur se munh aa gaya nasur ka
is qadar mushtaq hun zahid KHuda ke nur ka
but bhi banwaya kabhi main ne to sang-e-tur ka
tujh ko lae ghar mein jannat ko jalaya rashk se
ham-baghal tujh se hue pahlu dabaya hur ka
gor-e-kafir kis liye hai tira-o-tar is qadar
paD gaya saya magar meri shab-e-dijur ka
husn-e-yusuf aur tere husn mein itna hai farq
choT ye nazdik ki hai war tha wo daur ka
qasr-e-tan bigDa kisi ka gorkan ki ban paDi
ghar kisi ka gir paDa ghar bin gaya mazdur ka
chehra-e-jaanan se sharma kar chhupaya KHuld mein
KHama-e-taqdir ne khincha jo naqsha hur ka
hajat-e-mushshata kya ruKHsar-e-raushan ke liye
dekh lo gul kaTta hai kaun sham-e-tur ka
zulf-o-ru-e-yar se nairang-e-qudrat hai ayan
mahr ke panje mein hai daman shab-e-dijur ka
KHaksari kar jo ho manzur aankhon mein jagah
KHak ho kar surma bin jata hai patthar taur ka
ghafilon ke kan kab khulte hain san kar shor-e-hashr
sone walon ko jaga sakta nahin ghul dur ka
puchh lena sab watan ka haal ai ahl-e-adam
baiTh lene do zara aata hun uTTha daur ka
ijz karte hain adu-e-jaan se bhi KHasan-e-haq
jhuk gaya sar aage pa-e-dar par mansur ka
maut kya aai tap-e-furqat se sehat ho gai
dam nikalne se badan ThanDa hua ranjur ka
jate hain mai-KHana-e-alam se hum su-e-adam
kah do az-KHud-raftagi se hai irada dur ka
muziyon ko hadson se dahr ke kya KHauf hai
barish-e-baran se ghar girta nahin zambur ka
chashm-e-saghar be-sabab har dam lahu roti nahin
mughbachon se saqiya dil phaT gaya angur ka
jate hain mai-KHana-e-alam se hum su-e-adam
kah do az-KHud-raftagi se hai irada dur ka
ki nazar jis par kudurat se raha KHamosh wo
hai asar gard-e-nigah-e-yar mein sindur ka
jalwa-e-mashuq har ja hai basirat ho agar
kirmak-e-shab-tab mein aalam hai sham-e-tur ka
mar ke yaran-e-adam ke pas pahunchunga 'amir'
chalte chalte jaan jaegi safar hai dur ka
Ghazal
Jab se bandha hai tasawwur us ruKH-e-pur-nur ka
Ameer Minai