jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya
soz-e-jaanan dil mein soz-e-digaran banta gaya
rafta rafta munqalib hoti gai rasm-e-chaman
dhire dhire naghma-e-dil bhi fughan banta gaya
main akela hi chala tha jaanib-e-manzil magar
log sath aate gae aur karwan banta gaya
main to jab jaanun ki bhar de saghar-e-har-KHas-o-am
yun to jo aaya wahi pir-e-mughan banta gaya
jis taraf bhi chal paDe hum aabla-payan-e-shauq
KHar se gul aur gul se gulsitan banta gaya
sharh-e-gham to muKHtasar hoti gai us ke huzur
lafz jo munh se na nikla dastan banta gaya
dahr mein 'majruh' koi jawedan mazmun kahan
main jise chhuta gaya wo jawedan banta gaya
Ghazal
Jab hua irfan to gham aaram-e-jaan banta gaya
Majrooh Sultanpuri