itna to jaante hain ki bande KHuda ke hain
aage hawas gum KHirad-e-na-rasa ke hain
mamnun-e-barg-e-gul hain na sharminda-e-saba
hum bulbul aur hi chaman-e-dil-kusha ke hain
kya kohkan ki koh-kani kya junun-e-qais
wadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain
bunyan-e-umr sust hai aur muniman-e-dahr
maghrur apne ko shak-e-ali bina ke hain
apne wajud ka abhi uqda khula nahin
masruf hill-o-aqd main arz-o-sama ke hain
shaiKH aur barhaman mein agar lag hai to ho
donon shikar-e-ghamza usi dil-ruba ke hain
jin ko inayat-e-azali se hai chashm-dasht
wo mo'taqid dua ke na qael dawa ke hain
laya nahin hunuz nawed-e-visal-e-dost
hum shikwa-sanj susti-e-paik-e-saba ke hain
samjho agar to hain wahi sab se haris-tar
talib KHuda se jo dil-e-be-muddaa ke hain
un bad-dilon ne ishq ko bad-nam kar diya
jo murtakib shikayat-e-jaur-o-jafa ke hain
himmat huma-e-auj-e-saadat hai mard ko
ullu hain wo jo shefta zill-e-huma ke hain
hai ashk-o-ah ras hamare mizaj ko
yani pale hue isi aab-o-hawa ke hain
jo bandhte hain turra-e-tarrar ka KHayal
nadan umid-war nuzul-e-bala ke hain
khaTka bhi kuchh hua nahin aur dil uDa liya
ye sare hathkanDe teri zulf-e-dota ke hain
said-e-karishma is liye hote nahin ki hum
pahle se zaKHm-KHurda fareb-e-wafa ke hain
mara bhi aur mar ke zinda bhi kar diya
ye shoabde to shoKHi-e-naz-o-ada ke hain
KHalwat mein bhi rawa nahin gustaKHi-e-nigah
parde paDe hue abhi sharm-o-haya ke hain
yun kah rahi hai nargis-e-bimar ki ada
nusKHe to mujh ko yaad hazaron shifa ke hain
ab tak hai sajda-gah-e-azizan-e-rozgar
jis KHak par nishan tere kafsh-e-pa ke hain
andesha hai ki de na idhar ki udhar laga
mujh ko to na-pasand watire saba ke hain
sair-e-warud-e-qafila-e-nau-bahaar dekh
barpa KHiyam auj-e-hawa mein ghaTa ke hain
jata hai KHak-e-pak-e-deccan ko ye reKHta
wan qadr-dan is guhar-e-be-baha ke hain
ahbab ka karam hai agar nukta-chin na hon
warna hum aap mo'tarif apni KHata ke hain
Ghazal
Itna to jaante hain ki bande KHuda ke hain
Ismail Merathi