ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin
zindagi se zindagi ka haq ada hota nahin
be-karan hota nahin be-intiha hota nahin
qatra jab tak baDh ke qulzum-ashna hota nahin
us se baDh kar dost koi dusra hota nahin
sab juda ho jaen lekin gham juda hota nahin
zindagi ek hadsa hai aur kaisa hadsa
maut se bhi KHatm jis ka silsila hota nahin
kaun ye naseh ko samjhae ba-tarz-e-dil-nashin
ishq sadiq ho to gham bhi be-maza hota nahin
dard se mamur hoti ja rahi hai kaenat
ek dil-e-insan magar dard-ashna hota nahin
mere arz-e-gham pe wo kahna kisi ka hae hae
shikwa-e-gham shewa-e-ahl-e-wafa hota nahin
us maqam-e-qarb tak ab ishq pahuncha hi jahan
dida-o-dil ka bhi aksar wasta hota nahin
har qadam ke sath manzil lekin is ka kya ilaj
ishq hi kam-baKHt manzil-ashna hota nahin
allah allah ye kamal aur irtibaat-e-husn-o-ishq
fasle hon lakh dil se dil juda hota nahin
kya qayamat hai ki is daur-e-taraqqi mein 'jigar'
aadmi se aadmi ka haq ada hota nahin
Ghazal
Ishq-e-la-mahdud jab tak rahnuma hota nahin
Jigar Moradabadi