husn marhun-e-josh-e-baada-e-naz
ishq minnat-kash-e-fusun-e-niyaz
dil ka har tar larzish-e-paiham
jaan ka har rishta waqf-e-soz-o-gudaz
sozish-e-dard-e-dil kise malum
kaun jaane kisi ke ishq ka raaz
meri KHamoshiyon mein larzan hai
mere nalon ki gum-shuda aawaz
ho chuka ishq ab hawas hi sahi
kya karen farz hai ada-e-namaz
tu hai aur ek taghaful-e-paiham
main hun aur intizar-e-be-andaz
KHauf-e-nakaami-e-umid hai 'faiz'
warna dil toD de tilism-e-majaz
Ghazal
Husn marhun-e-josh-e-baada-e-naz
Faiz Ahmad Faiz